Sharing Is Caring


Hey Buddy! Little Funky or Shopaholic?






Wednesday 13 June 2012

Shrapit Shaitan (The Curse Of Draculla)



Copyright © 2012-2013 Renu. All rights reserved.

This story I had written in 2011 as a short story of Abhay and Pia of Pyar ki Ye Ek Kahani. But never published before.

It is written in Hinglish, so enjoy.


PS: This is not a fan-fiction. Everything in this story is original so I own the copyrights. This story is based on two characters of PKYEK serial. But content and the concept is original.


Yeh kahani hai Pia ki, jo apne ghar mai akeli 4-5 servants ke sath rehti hai. Uska pati hamesha kaam ke silsile se Hindustan k bahar Australia mai rehta hai. Mumbai ke bahar kareeb 250km dur Mahad naam ka chota sa gaao hai, woh ek shant aur sunsaan jagah hain, jaha aas paas kuch nai hai, sivai jungle ke. Pia ko kabhi shant jagah se daar nai lagta hai. Usse hamesha akele rehne ki aadat hai. Usse apni boring zindagi se kuch khas lagao nai tha, who hamesha chahti thi ke who aur uske pati kahin bahar ghumne jaaye, par pati ke paas uske liye waqt hi nai tha, isliye ussne faisla kia k who akele ghumne jaayegi jungalo main.

Yeh jungle shrapit tha, par Pia ko inn cheezo main vishwaas nai raha kabhi, isliye ussne faisla kiya ki woh iss jungle main akele jaa ke dikhayegi, par uske ghar ke naukar usse jungle mai jaane nahi de sakte the, kyunki Pia ke Pati Abhay ne naukaro se kaha tha ke Pia ko kabhi akela na chode, isliye ek naukar jiska naam Pritam hai, woh Pia ke sath uss shrapit jungle main gaya.

Uss jungle ko shrapit isliye kaha jata tha kyunki Dr.Woho Taunsh naam ke ek jaane maane scietist uss jungle main rehke apna experiment karte the, ussi jungle mai unki maut hua tha aur who ek shrapit shaitan ban gaye the.

Yeh kahani Pia nahi janti thi. Jungle main andhera hone ke baad 7pm ko Pia aur uska naukar laut aaye the. Lekin aate waqt Pia ne ek khufiya gufa dekha, who gufa Dr.Woho Taunsh ka tha. Pia andaar jake gufa toh nahi dekh paayi, lekin gufa ke bahar Dr.Woho Taunsh naam ka board padh liya tha ussne.

Usse laga ki waha uss gufa mai koi Dr.Woho Taunsh naam ka aadmi rehta hai. Jab who ghar lauti toh apne sab naukaro ko uss gufa ke bare main bataya, unn naukaro ko kehna tha ke uss jungle main koi nahin rehta hai, woh ek shrapit jungle hain.

Pia hairaan ho gayi, usse samajh main nahin aaya ke jab waha Dr.Woho Taunsh naam likha hai, toh woh gufa mai koi rehta nahin, aisa kaise ho sakta hai?

Pia ek internet sevy hai, usko internet pe surf karna aur kahin sare ajeeb cheezo pe research karna pasand tha. Isliye jab woh internet pe surf kar rahi thi toh uske dimag main ek khayal aaya ke woh uss aadmi ke upar information collect karegi. Tab usko pata chala ki Dr.Woho Taunsh ek jaane-maane scientist the, unka umar 25years tha. Unka death ek unsolved mistry tha, kyunki unka body aaj tak kisi ko bhi nahin mila, aur koi nahin janta tha ke Dr.Woho Taunsh zinda hain ya maar gaye, lekin jab unki koi khabar nahin mila, toh unko maara hua ghoshit kar diya gaya tha. Lekin scientist banne se pehle woh ek doctor the, jaanwaro ka doctor.

Unka janam Egypt main hua tha, aksar woh jaanwaro ke ilaaz ke liye campaign kia karte the alag alag desh main jaake. Hindustan main woh issi wajah se aaye the ke jaanwaro ka ilaaz kar paaye. Jaanwaro ke ilaaz karte waqt, unko ek mara hua chamkadaar mila, woh chamkadaar ek shrapit shaitan tha. Dr.Woho Taunsh ne socha ke yeh chamkadaar kaise mara hua hoga iska khoj woh karenge, aur koshish karenge usko jeevit karne ki, kyunki woh ek scientist bhi the toh unhone jaanwar ko dubara zinda karne ka ek dawaa banaya tha, lekin uska test kabhi kisi jaanwar pe kiya nahin. Unhone socha ke yeh sahi waqt hai iss dawai ka test karne ka, par woh yeh nahin jante the ke yeh unka zindagi ka aakhri samay hoga. Jaise hi unhone dawaai dene ke liye bottle ko khola, woh maar gaye aur maarne ke baad ek shrapit chamkadaar ban gaye, kyunki galti se woh dawaai jiss chamkadaar ko woh peelana chaha, woh ek shaitan tha, jo maar gaya tha, aur uss shaitan ke upar laga hua shrap, aab Dr.Woho Taunsh ko lag gaya tha, jiske karan woh raat ko ek chamkadaar ban jate the aur sunder ladkiyo ka khoon peeke, apne shrap ko kam karne ki koshish karte the.

Uss shrap se mukti paane ka sirf yahi ek tarika tha ke jitne jada ladkiyo ke khoon peeyenge, utna jaldi unka shrap kam hota jaayega.

Haar raat ek sunder ladkiyo ko woh apna shikar banate rahe aur jab gaao ke logo ko yeh pata chala ki unnke gaao ke ladkiyo ko who shrapit shaitan khoon peeke unhe maar deta tha, toh sab gaao walo ne milke usse jala dia tha aur apne hi gufa main uske aatma ko kaid kar liya tha 50 saal pehle.

Lekin anjaane main Pia uss gufa ke darwaze ko khol deti hain, aur uss shaitan ko dubara aazad kar deti hai.


Doo Hafte Baad (2 Weeks Later)

Pia ka pati Abhay ghar laut aata hai, lekin iss baar woh hamesha ke liye ghar laut aata hai, aur faisa kar leta hai ke aab woh apne patni se dur kahin nahin jaayega, aur yahi iss gaao main woh apna business shuru karta hain, iss gaao main koi aata-jata nahin hain. Lekin sunna hain ke iss gaao main bahut saare Builders naye naye complex bandhne wale hain apne projects ke liye. Woh builders bhi inn andh-vishwaso main yakin nahin karte hai isliye govt permission leke waha uss gaao mai complex banate hain.

Dheere dheere jab flat banane ka progress hota hain, toh waqt ho jata hai aamawas ke raat ki, woh din koi bhi builders shubh karya nahi karte hai, kyunki woh din kisi bhi shubh karya ke liye ashubh mana jata hai.

Aamawasya ki raat chamkadaar apne asli shaitan roop main aa jata hain. 50 saal baad jab woh apne aasli roop main aake yeh dekhta hain ke gaao main aab ghar bhi badhne lag gaya hain, toh woh apne pehle shikar ke taraf baadh jata hain, jab woh dekhta hain ke kuch aadmi building ke waha khade hain, toh woh jhadi ke peeche chup jata hain, aur intezar karta hai sunder ladki ka.

Par jaha woh draculla chupta hain, woh Pia ke ghar ke saamne wala jhadi hota hain, tab woh shaitan Pia ko dekh leta hain, aur soch leta hain ke aazad hone ke baad uska pehle shikar yeh ladki hi hogi. Tab woh apna roop badal ke, piche wale bedroom ke chatt se, upar chad ke pahuch jata hain.

Jab woh bedroom ke andar jata hain toh ghar ke sare lights off ho jate hain, tab woh shaitan apne naye insaan roop main aake Piya ko mirror ke paas baithe hue dekhta hai. Pia jab apne chanya choli ke piche ka dori bandhne ki koshish karti hain toh usko hota nahin hain, woh apne pati Abhay ko bulati hain, lekin Abhay tabhi niche kitchen main candle laane jata hain, aur Pia ki aawaaz sunn nahin pata hain. Iska faida shaitan uthata hain.

Shaitan apna naya roop Abhay ka leta hain, aur Pia ke kareeb jaake usse chutta hain, Pia ko lagta hain ke uska pati aaj bade romantic mood main hain, lekin Pia ka chanya-choli ka jo dori nikla tha, woh sirf uske bare mai soch rahi thi, aur keh rahi thi Abhay se ke "Kya kar rahe ho, chodo mujhe? Mere piche ka dori bandh doo, uff chodo na?" tab shaitan uske gardan ke paas aake usse kaatne hi wala tha ke achanak se Pia uth gayi aur uske pati ko datta. Tab uss shaitan ne uske hotho pe ungli rakh ke, Pia ko apne godh main utha liya aur bed pe leta diya. Tab unke bich physically rishta bana aur fhr dheere dheere uss shaitan ne uske gaale ke paas jaake zor se usko kaat ke uska khoon choosa. Khoon choosne ke baad woh shaitan usko maarne hi wala tha, lekin Pia ka asli pati Abhay ne electricity ko theek kar diya aur tabhi light on ho gaya, uss waqt uss shaitan ne Pia ka chehra dekh liya tha, aur usko yaad aaya ke usko aazad Pia ne hi kiya tha, isliye woh waha se chala gaya. Aur ussne faisla kiya ke woh Pia ko nahin maarega, balke uske sath shaadi karke apne Vampire Rani banayega.

Pura raat beet gaya, Pia hosh main nahi aayi, jab subah hua aur woh hosh main aayi toh usko apne gardan (neck) mai thoda sa dard mehsus hua, tab uska pati Abhay bed pe sooya tha, aur Piya apne bed se uthke jab mirror ke paas gayi toh dekha ke uska gardan (neck) main ek nishan tha, usse samajh nahin aaya ke yeh kaisa nishan tha, aur usko yeh bhi yaad nahin aaya ki kal raat uske sath kya hua tha. Usse agar kuch yaad tha toh sirf itna ke kal Abhay mirror ke paas aake usko apne godh main leke bed pe leta diya, usske baad kya hua tha usse kuch yaad nahin tha.

Jab uska pati usse pucha ke kal raat woh bina kapde pehne kyun soo gayi, toh woh hairan ho gayi, aur mann hi mann mai sochne lag gayi ke jab yeh dono eksath bed pe the toh yeh aisa sawal kyun puch raha hain?

Dheere dheere Pia apne insani aadat ko bhulti gayi, aur woh swimming karne jaa nahin paa rahi thi, kyunki dhoop se uska chehra pe jalan ho raha tha. Woh samajh nahin paa rahi thi ke aisa kyun ho raha hain, usko din main soona aur raat main jaag ke swim karna acha lagne lag gaya tha, dheere dheere woh vampire hoti jaa rahi thi. Usse kuch samajh nahin aaraha tha ke kya ho raha hain uske sath.

2 din beet gaya, lekin 2 din mai ussne khana nahin khaya, paani nahin peeya, aur fhir bhi woh thakan mehsus nahin kar rahi thi khud. Yeh baat usko kafi ajeeb laga, ussne socha ke agar aisa hi chalta raha toh kahin uske sath kuch bura na ho jaaye, isliye woh Doctor Sunita ke paas apna ilaaz karne ke bare main socha, lekin Doctor Sunita raat main nahin hoti hain, isliye usse kisi bhi tarah din main hi jana padega Doctor Sunita ke paas.

Uske dimag mai ek idea aaya, ussne socha ke woh agar dupatte se apne pure body ko aur chehre ko dhaak de aur andar kuch hard clothes pehne toh usko dhoop se jalan nahin hoga chehre pe. Yeh soch kar apne chehre ke pain ko bardash karke woh Doctor Sunita ke paas gayi, Doctor Sunita ne uska chehra dekha toh woh kehne lagi, ke Pia ko sun allergy hua hain, agar sunscreen lotion lagaye toh yeh allergy chala jaayega. Lekin Pia iss baat se sehmaat nahin thi, ussne bataya Doctor ko ke kabhi usko aisa sun allergy nahin hua hain, woh hamesha sun main ghumne jati thi, swimming karti thi, aur woh har cheez kar sakti thi dhoop main, lekin pichle 3 din se woh raat ko jaagti hai swimming karne aur din main sooti hain. Usko khana pasand nahi, khoon peena chahti hain, aur paani peena usko hajam nahin hota hain.

Doctor Sunita ko yeh case samajh main nahin aaya, woh kehne lagi ke "Aisa case maine aaj tak kabhi nahin dekha jo khana peena pasand nahin karta ho, aur fhir bhi zinda ho, yeh bahut hi ajeeb case hain. Aap ko main Doctor Dhaneshwar ka number likh ke deti hun, uske paas jaayiye aur apna yeh ajeeb baat batayiye, ho sakta hain ke woh aap ki madat kar paaye. Lekin Doctor Dhaneshwar shehar main hai iss waqt, toh aap ko wahi jana hoga, unnse milne, aap aaj raat ko nikal sakte hain shehar ke liye, kal tak pahuch jaayegi aap waha, aur tab aap apna problem unhe batah dena." Itna kehke, Doctor Sunita ne Pia ko Doctor Dhaneshwar ka number de diya.

Pia ne Doctor Dhaneshwar ko call karke appointment le liya dupahar ka, aur woh raat ko mumbai ke liye ravana ho gayi bus se. Lekin woh akele gayi doctor ke paas, kyunki usko pata tha ke usko kya hua hain aur woh nahin chahti thi ke uska pati uske sath jaaye aur Pia uska khoon peeye.

Jab raat ko bus main Pia baithi, toh uske baju ke seat ussne khud ke liye hi reserve kar liya tha, taki uske karan koi bhi uska shikar na ban jaaye. Pia bahut hi achi ladki hain isliye woh kisi ko nuksan nahin pahuchana chahti hain.

Aakhir mumbai aa gaya, aab mumbai pahuchte hi ussne Doctor Dhaneshwar se milne ka faisla kiya, lekin uska appointment dupahar 3pm ka tha, aur uska bus dupahar 1pm ko pahuchi. 2 hours woh hotel main rukne ka faisla kiya. Pehle woh fresh hoke aayi, aur jab dekha ke koi uske room main hain aur usko bath karte waqt dekh raha hain, toh usse raha nahin gaya, aur gusse main aake ussne aakhir apna pehla shikar uss waiter ko banaya, jissne bina permission, Pia ke room main ghus ke, bathroom ka thoda sa darwaza kholke usse nahate hue dekh raha tha.

Pia ne usko maarke uska khoon peeke, usko bathroom ke bath tub mai daal diya uska laash.

Jab woh hotel room se nikali, toh usse insan na hoke, ek shaitan hone ka ehsaas mann main jagne laga. Aab woh dheere dheere badalti jaa rahi thi, khoon ko pehli baar pee ke woh apna pehchan khoti jaa rahi thi, uss ne socha ke isse pehle der ho jaaye usse iss baat ka pata lagana hoga ke 4 din pehle uske sath kya hua tha aur kaun tha uske sath bed pe.

Woh pehle Doctor Dhaneshwar se milne gayi, jab Doctor ko ussne apna problem bataya upar se yeh bhi kaha ke ussne uss waiter ka khoon kar diya, uska khoon pee ke, toh uss Doctor Dhaneshwar ko laga ke Pia pagal ho gayi hai, woh ek Pyschic hain, isliye Doctor ne uska ilaaz karne se mana kar diya. Pia ne bahut samajhne ki koshish kiya ke woh pagal nahin hain, usko shayad shrapit draculla ne katta hain. Par Doctor usspe yakin nahin kiya, aur kehne laga ke Shrapit Draculla jaisa kuch nahin hota hain, aur woh pagal ho gayi hain, apna ilaaz mental hospital main karaye, woh madat nahin kar sakta hain. Aise main Pia ko fhir se gussa aaya, par ussne Doctor ko nahin maara, kyunki woh uska khoon peeke shaitan nahin banna chahti thi, isliye waha se chali gayi. Pia ke jane ke baad, Doctor Dhaneshwar ne daar ke maare police ko call kiya aur usko Pia ke bare main sab bataya, yeh jaanne ke baad, police sab se pehle uss hotel ke room main gaye, jaha uss waiter ka dead body mila, uska body dekhne ke baad pura yakin ho gaya police ko bhi ke yeh Pia ek Pycho hai, aur agar uska abhi ilaaz nahin kiya toh bahut logo ki jaan le legi yeh. Par sach kya hain, yeh kisi ko pata nahin tha. Doctor Dhaneshwar se jab puchtach kiya tab pata chala police ko ke Pia kaha rehti hain. Pia tak pahuchne se pehle hi, Pia apne ghar pahuch chuki thi aagle (next) din ko.

Pia apne ghar pahuchte hi sab se pehle ussne wapis internet ke zariye uss Dr.Woho Taunsh ke bare main pata kiya, iss baar woh haar cheez ekdum details main padh rahi thi, jaise ke usko yeh janna ho ke wapis insan banne k liye usko kya karna hoga, woh haarti jaa rahi thi, woh yeh baat apne pati ko batah nahi paa rahi thi ke woh ek vampire banti jaa rahi thi, usko pura yakin hota gaya ke woh raat uske sath uska pati nahin, balke Dr.Woho Taunsh ka shaitani aatma tha jo uska pati Abhay ka roop leke uske sath shahrarik (physical) sambandh rakha aur fhir uska khoon peeke, usko maarne se pehle hi waha se chala gaya. Ussne jab details main uski kahani padhi toh uss main likha tha ke woh sirf sunder ladkiyo ka hi shikar karta hain aur unka khoon peeke maar deta hain. Lekin Pia ko yeh baat samajh main nahin aaya ke ussne Pia ko zinda kyun chod diya, baki ladkiyo ki tarah usse maara kyun nahin aur wapis uss din ke baad woh lauta kyun nahin.

Iska jawab usse internet pe nahin mila, isliye ussne faisla kiya ke woh pati ko iss bare main sab batayegi aur apne pati ko leke Egypt jaayegi yeh jaane ke liye ke aakhir uss shaitan ne isko choda kyun?

Par woh itna nahin samajh paayi ke iska raaz usse sirf uss khufiya gufa mai milega.

Pia ne Abhay ko sab kuch batah diya jo jo uske sath hua ho, aur jo jo ussne kiya woh, lekin Abhay ne uske baat pe yakin nahin kiya, isliye Pia ne internet ke zariye usse woh kahani bataya jo Dr.Woho Taunsh se juda hua tha aur sath hi ussne apne gale main laga hua woh nishan dikhaya jiske zariye woh dheere dheere insan se vampire banti jaa rahi thi.

Aab Abhay ko yakin hota gaya iss baat pe, woh apne patni ko khona nahin chahta tha isliye woh tayar hua apne patni ke sath Egypt jane ke liye.

Abhay ne Phone karke 2 Air Tickets book kiya apne aur Pia ke naam par, ghar se nikalne hi wale the ke achanak police aagayi waha pe.

Police ko apne ghar ke bahar dekh ke Abhay aur Pia dono ghabra gaye, waha Police Pia ko arrest karne aaya tha, lekin Abhay ne Police ko bahut samjhane ke koshish kiya ke Pia ne kuch bhi jaan-bujh ke nahin kiya, lekin Police kuch bhi sunne ko tayar nahin tha, aur zabardasti Pia ko khichke leke jaa raha tha, Pia ne apne gusse ko bahut kabu kiya, par aab usse bardash nahin ho raha tha, isliye ussne Police ko zor se dhaka diya, yeh dekh ke Police aur baki sab hawaldaar log daar gaye, aur waha se bhag gaye. Pia unke piche gayi, aur zor zor se haaske kehne lagi "Pakad ke leke jaana chahte the na mujhe? Kya hua? Ruk kyun gaye? Aao aao, mere paas aao? Ek ek ki jaan le lungi main aur bade safaai se khoon peeungi tum sab ki, samjhe? Aao na? Daar kyun rahe ho? Aab nahin pakadoge mujhe?" Police ko samajh main aagaya ki Pia insan nahin, shaitan hain, aur isliye woh police wale waha se bhag gaye.

Lekin shaitan kaise de sakta hai unko bhagne? Dr.Woho Taunsh ne jab dekha ke yeh police wale taang kar rahe the Pia ko, toh ussne khud inn police walo ko ek ek kar ke maar dala, lekin inka khoon nahin peeya Dr.Woho Taunsh ne.

Jab Pia aur Abhay jaa rahe the Airport, toh achanak unka car ka tyre puncture hua, dono ko jaldi Airport pahuchna tha, lekin typre puncture hone ke wajah se unko dusra car ka intezaar karna pada. Lekin woh sunn-saan raaste pe kaha se dusra koi car aa jayega?

Fhir achanak waha pe zor ka tufan aa gaya, itna bada tufan ke sab dhul-meeti udd raha tha aur theek se kuch dikhaye nahin de raha tha. Tabhi achanak tufan ruk jaata hain, aur Abhay dekhta hain ke Pia uske sath nahin hain, woh Pia ko zor zor se chillake bulata hain, lekin Pia kuch bolti nahin hain, woh kahin gayab ho gayi hain, par kaha?

Tabhi achanak Pia apne aakhen kholti hain, aur apne aap ko uss jungle main dekhti hain. Yeh wahi jungle hain, jaha woh pehli baar apne naukar ke sath gayi thi aur ussne galti se uss gufa ka darwaza khold diya tha.

Waha jate hi usse sab yaad aata hai ke woh waha pehle bhi gayi thi aur anjane mai woh gufa ka darwaza khol deti hain. Waha tab achanak ek aawaz sunaye deta hai Pia ko, yeh keh ke "Yaad aaya? Tum yaha pehle bhi aa chuki ho, tumne hi mujhe naya jeevan diya tha." Tab Pia usse puchti hai "Kaun ho tum?" Tab woh shaitan kehne laga "Pehchana nahin mujhe? Main wahi hoon jisko tumne naya jeevan diya tha. Main wahi hoon jo tumhare ghar tumhara pati Abhay ka chehra leke tumhe insan se shaitan banaya, bhul gayi mujhe?" Tab Pia puchne lagi Dr.Woho Taunsh? Aise main uss shaitan ne jawab diya "Haan main wahi hoon jisko tum dhund rahi ho, Dr.Woho Taunsh hoon main".

Pia boli "Kyun kiya mere sath aisa? Kya bigada tha maine tumhara? Maine toh tumko naya jeevan diya na aazad karke? Toh kya iska yeh silah diya mujhe aazadi ka?"

Dr.Woho Taunsh bola "Maine toh tumko naya jeevan diya hain zinda chodke, maine aaj tak kisi bhi ladki ko zinda nahin choda hain unka khoon peene ke baad, tumhe toh shukar manna chahye ke maine baki ladkiyo ki tarah tumhara jaan nahin liya".

Pia boli "Aise jeevan se, maut behatar hain, kya faida iss jeevan ka, jab main ek insan banke jee hi nahin sakti hoon?"

Dr.Woho Taunsh bole "Tumhe zinda, insaan banne ke liye choda nahin tha maine, tum meri dulhan banke aur shaitano ke rani banke jeeyogi, isliye tumko choda tha zinda."

Aab kya karegi Pia? Kis raah main chalegi woh? Ek Vampire ki zindagi jeeyegi ya maut ko gale lagayegi? Ya fhir apne aap ko iss shaitan se bachayegi?

Dr.Woho Taunsh se baat karte waqt achanak Pia ke dimaag main ek khayal aaya ke uski maut kaise hui thi. Aur agar Pia ko pura insan banna hain dubara, toh usko wahi karna hoga jo 50 saal pehle, gaao walo ne kiya tha iss shaitan ke sath, lekin tabhi sirf usko jalaya tha aur usko gufa main kaid kiya tha, par usko hamesha ke liye khatam karna hain toh uss gufa ko hi pura jalana hoga, kyunki uski jaan uss gufa main hi atka hain, aur agar woh gufa hi na rahe toh uska jaan kaise reh paayega, bas tabhi ussne soch liya tha ke usko kya karna hain.

Lekin jungle main na maachis milega aur nahi kerosene milega jalane ke liye, iske liye usse wapis apne ghar lautna hi padega.

Tab ussne Dr.Woho Taunsh ko baaton main uljhake, gufa main rehne ko keh diya, aur woh tayaar ho gayi vampire banne ke liye, issi wajah se Dr.Woho Taunsh apne gufa main jaake uska intezaar karne ke liye tayaar ho gaye.

Tabhi Pia apne ghar jaake apne pati Abhay se maachis aur kerosene maanga, jisse woh uss gufa ko jaala sake aur uss draculla ko khatam kar sake.

Tab Pia ka pati uske sath jane ka zidd kar raha tha kyunki woh Pia ko akele nahin chodna chahta tha, isliye Pia usse apne sath jungle leke gayi.

Dr.Woho Taunsh gufa main hi tha, tab Pia ne gufa ke darwaaze ko bandh karke, sab jagah pe kerosene chidka, uss gufa ko jala diya, Dr.Woho Taunsh ke sath sath woh gufa bhi rakh ho gaya, Dr.Woho Taunsh ko Shrap se mukti mil gayi aur Pia ko naya jeevan mila insaan ka sharir aur insaan ka aatma.

Aab jungle ko bhi shrap se mukti mil gayi, aur dekhte dekhte 6 saal beet gaye, aur aab woh chota sa gaao Mahad, shehar ban gaya, buildings banne lagi waha, logo ka aana-jana shuru ho gaya, aur yeh sab dekh ke Pia aur Abhay dono hi bahut khush bhi hai aur Bhagwaan se dua maangte hain ke aab iss gaao ko kabhi kisi ki nazaar na lage aur nahin koi shraap lage.


Yahi pe Shrapit Shaitan ki kahani khatam hoti hai.





Copyright © 2012-2013 Renu. All rights reserved.

No comments:

Post a Comment